ek umr nibhaai hai

Fakat ek khwaab ko haqeeqat bnaane ki zidd me. . . Neendon se dushmani ek umr nibhaai hai maine..

Pasand bhi apni thi

Usko Bewafa koh kr apni hi Nazaron Main gir jatay hain wo pyar bhi apna tha Wo Pasand bhi apni thi

kisi aur ki khatir

Vo kisi aur ki khatir hame bhul bhi gaye to koi baat nahi kabhi hum bhi to bhul gaye the sara jahako unhi ki khatir

Mera dil bhi

Kis kadar karu mukaddma main uper uski bewafai ke, Mera dil bhi wakeel uska

Har Baat ko zubaa

Har Baat ko zubaa nahi milti, Har Aarzoo ko duwa nahi milti, Haste raho to duniya rahti hai saath, Aasuwo ko toh Aankhon me bhi panah nahi milti…!!

zaher peene mein

Ab bhi taaza hai zakhm seene mein, Bin tere kya rakha hai jeene mein, Hum to zinda hain tera sath paane ko, Warna deir kitni lagti hai zaher peene mein..

Ab wafa se

Ab wafa se mukar gaya hai dil, Ab mohabbat se dar gaya hai dil, Ab saharon ki baat mat karna, Ab dilason se bhar gaya hai dil, Jab bulate the zinda dil the hum, Ab na aao ke mar gaya hai Aabil. Kya bhala dhoondhate ho seene mein, Jaan se bhi guzar gaya hai Aabil… Continue reading Ab wafa se

mujhe bhi aata hai

Har shakhs mujhe zindagi jeene ka tareeka batata hai Unhein kaise samjhaun ki Ek khwaab adhoora hai mera Warna jeena to mujhe bhi aata hai..!!

yun hi sitam

Zindagi hamaari yun hi sitam ho gayi Khushi na jaane kahan dafan ho gayi Likha Khuda ne mohabbat sabki taqdeer mein Hamaari baari aayi to syaahi hi khatm ho gayi..

sultaan banke aaya kar

Kisne kaha tujhe ki anjaan banke aaya kar, mere dil ke aaine me mehmaan banke aaya kar.. Ek tujhe hi to bakhshi hai dil ki hukoomat, yeh teri saltnat hai sultaan banke aaya kar..

Exit mobile version