Hal to puch luu

Hal to puch luu tera par darta hu aawaz se teri.. Jab jab suni he kambakt mahoobat hi hui he..

bhulaya nahi jaata

Hamse bhulaya nahi jaata ek uska pyaar, log jigar vale hai, jo roj naya mahbub bana lete hai..

Usne chupke se

Usne chupke se meri aankho par hath rakhkar pucha batao kaun, mai muskarakar dhire se bola “Meri zindagi”..

Silsila ye chahat ka

Silsila ye chahat ka dono taraf se tha, vo meri jaan chahti thi aur mai jaan se jyaada use..

Badi barkat hai

Badi barkat hai tere ishq mai, jab se hua hai, koi dusra dard nahi hota..

Ek pal aayee

Ek pal aayee nazar ghunghat se soorat aap ki Ye hawa ka khel tha ya phir inaayat aap ki Chain chheeney, neend bhi chheeney muhabbat aap ki Sochta hoon, kya balaa hogi adaavat aap ki Kam n they pehle hi maslein deen-o-jaan-o-maal ke Is pe zaahir ho gayee duniya pe sohbat aap ki Jung khelee… Continue reading Ek pal aayee

sach ki talash

Chalo so jate hai phir kisi sach ki talash me… Subah phir se jhuti duniya ka deedar krna h..!

zindagi ka doosra naam

Fiza main mahakti shaam ho tum Pyar main chalakta jam ho tum Seene main chupaaye firte hain hum yaad tumari Meri zindagi ka doosra naam ho tum

Hazaron peer

Hazaron peer badlay hain Tera saaya nahi jaataa

Jise Umer Bhar

Tamam Umer Usi Ke Khayal Mein Guzri Mera Khayal Jise Umer Bhar Nahi Aaya….

Exit mobile version