zindagi ka doosra naam

Fiza main mahakti shaam ho tum Pyar main chalakta jam ho tum Seene main chupaaye firte hain hum yaad tumari Meri zindagi ka doosra naam ho tum

Zindagi ek chahat

Zindagi ek chahat ka silsila hai, Koi mil gaya to koi bichad gaya, Jise har pal maanga maine duaon mein, Khuda se mujhe wo bina maange hi mil gaya…

Wo waqt guzar gaya

Wo waqt guzar gaya, jab mujhe teri mohobbat ki aarzoo thi… Ab tu Khuda bhi ban jaye, to main tera sajdaa na karoo…

Hazaron peer

Hazaron peer badlay hain Tera saaya nahi jaataa

Na Milne Ki

Na Milne Ki Khushi, Na Judai Ka Gam, Na Udas Na Tanha Hai Hum, Kaise Kahe Kaise Hai Hum, Bas Itna Samajh Lijiye, Aapke Bina Bahut Akele Hai Hum!!!

yaad ne rula diya

Aaj Fir uski yaad ne rula diya, kaisa hai ye chera jisne ye sila diya, Do lafj likhne ka salika na tha, Uske pyar ne mujhe shayar bana diya..

Jise Umer Bhar

Tamam Umer Usi Ke Khayal Mein Guzri Mera Khayal Jise Umer Bhar Nahi Aaya….

mujhe gawara nahi

main us ko chaand kehta ye mumkin to he magar log usy raat bhar dekhe ye mujhe gawara nahi.!

Tum Yaad Aao

Saare Shikwe Janab Tere Hai, Dil Pe Saare Azaab Tere Hai, Tum Yaad Aao To Nind Nahi Aati, Nind Aaye To Saare Khwab Tere Hai…

Iss tarah kuch

Iss tarah kuch aajkal apna mukkadar ho gaya… Sar ko chaadar se dhaka toh paav bahaar ho gaya…!!!

Exit mobile version