Ek pal aayee

Ek pal aayee nazar ghunghat se soorat aap ki
Ye hawa ka khel tha ya phir inaayat aap ki

Chain chheeney, neend bhi chheeney muhabbat aap ki
Sochta hoon, kya balaa hogi adaavat aap ki

Kam n they pehle hi maslein deen-o-jaan-o-maal ke
Is pe zaahir ho gayee duniya pe sohbat aap ki

Jung khelee thi ye humne haarne ke vaasate
Jee, humein manzoor hai dil pe hukoomat aap ki

Pehle sochaa, aap ka deedaar subah-o-sham ho
Phir khayal aaya ki lag jaaye n aadat aap k